Wednesday, July 9, 2014



Dekha Hai Zindagi Ko Kuch Itna Kareeb Se
Chehre Tamaam Lagne Lage Hain Ajeeb Se
Es Rengti Hayaat Ka Kab Tak Uthain Baar
Bimaar Ab Ulhajne Lage Hain Tabeeb Se
Har Gaam Par Hai Majmaa-E-Ush-Shaaq Muntazir
Maqtal Ki Raah Milti Hai Ko-E-Habib Se
Es Tarah Zindagi Ne Diya Hai Hamara Sath
Jaise Koi Nibaah Raha Ho Raqeeb Se
Aey Rooh-E-Asar Jaag, Kahan So Rahi Hai Tu
Aawaz De Rahe Hain Payambar Saleeb Se

                                           - Sahir Ludhianvi

Tuesday, July 8, 2014


Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
Ke zindagi teri zulfon ki naram chhaon mein
Guzarne paati to shadaab ho bhi sakti thi
Yeh teergi jo meri zeest ka muqaddar hai
Teri 
nazar ki shu'aon mein kho bhi sakti thi

Ajab na tha ke main begana-e-alam ho kar
Tere jamal ki re'naiyon mein kho rahta
Tera gudaaz badan teri neem-baaz aankhen
Inhi haseen fasano mein maho rahta

Pukarti mujhe jab talkhiyan zamane ki
Tere labon se halawat ke ghoont pee leta
Hayat cheekti phirti barhena sar aur main
Ghaneri zulfon ke saaye mein chhup ke jee leta

Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
Ke too nahin tera gham teri justuju bhi nahin
Guzar rahi kuch is tarah zindagi jaise
Ise kisike sahare ki arzoo bhi nahin

Zamane bhar ke dhukhon ko laga chuka hoon gale
Guzar raha hoon kuch anjaani rahguzaron se
Muhib saaye meri simt bharte aata hai
Hayat-o-maut ke pur haul khar zaron se

Na koi jadah na manzil na roshni ka suraag
Bhatak rahi hai khyalon mein zindagi meri
Inhi khyalon mein rah jaoonga kabhi kho kar
Main janta hoon meri humnafas magar yunhi
Kabhi kabhie mere dil mein khayal aata 

                                                    -  Sahir Ludhianvi