Yeh mehlon, yeh takhton, yeh taajon
ki duniya
Yeh insaan ke dushman samaajon ke
duniya
Yeh daulat ke bhookhen riwajon ke
duniya
Yeh duniya agar mil bhi jaayen tho
kya hai?
Har ek jism hai ghayal, hare ek rooh
pyaasi
Nigahon me uljhan, dilon me udaasi
Yeh duniya hai ya aalam-e-badhawaasi
Yeh duniya agar mil bhi jaaye tho kya
hai?
Jahan ek khilona hai insaan ke hasti
Yeh basti hai murda paraston ki basti
Yahan par tho jeevan se hai maut sasti
Yeh duniya agar mil bhi jaaye tho kya
hai?
Jawani bhatakti hai badkaar bankar
Jawan jism sajte hai bazaar bankar
Yahan pyar hota hai vyapar bankar
Yeh duniya agar mil bhi jaaye tho kya
hai?
Yeh duniya jahaan aadmi kuch nahi hai
Wafa kuch nahi, dosti kuch nahi hai
Yahan pyar ki qadr kuch nahi hai
Yeh duniya agar mil bhi jaaye tho kya
hai?
Jalado ise phoonk daalo yeh duniya
Mere saamne se hatado ye duniya
Ye tumhari hai tum hi sambhalo yeh duniya
Yeh duniya agar mil bhi jaaye tho kya
hai?
-Sahir Ludhianvi